hawa kahin nam ko nahin thi
azan-e-maghrib se din ki paspa sipah ka dil dhaDak raha tha
tamam rangon ke imtiyazat miT chuke the
har ek shai ki siyah qaba thi
jagah jagah baam-o-dar ke paikar
ufuq ke rangin chaukhaTe mein
misal-e-taswir jam gae the
shajar hajar sab ke sab gireban mein sar jhukae
muhasba kar rahe the din bhar ke nek o bad ka
tawil qamat hazin khajuren
kaTi hui saaton ke matam mein
baal khole hue khaDi thin
nashemanon ko palaTte tair
kuchh aise tham tham ke uD rahe the
ki safha-e-asman pe goya
sarab-e-parwaz ban gae the
idhar mera dil
dhaDak dhaDak kar
ajib ibrat bhari nadamat se sochta tha
ki aaj ka din bhi kaT gaya hai
Nazm
Muhasba
Khursheed Rizvi