yahan
kabhi kabhi dhup bhi
zina zina yun utri hai
jaise ajnabi ho
aur mujhe wo log yaad aae hain
jo apne watan se bichhaD gae
muhajir jila-watan
jinhon ne samjha tha ki ajnabi shahr mein maut
kam logon ko aati hai
jo yahan is guman mein aae the
ki aafiyat daim rahegi
tum ne Dhalte sayon ki siyasat se gurez kiya hai
tum dhup se Dare ho
tum ne aankh yun band kar li hai jaise pakki inT hai
mere tumhaare darmiyan ab roz-marra
hamdardiyon ke lafz bhi nahin
Nazm
Muhajir
Ejaaz Ahamd Ejaaz