jab aadmi ke haal pe aati hai muflisi
kis kis tarah se us ko satati hai muflisi
pyasa tamam roz biThati hai muflisi
bhuka tamam raat sulati hai muflisi
ye dukh wo jaane jis pe ki aati hai muflisi
kahiye to ab hakim ki sab se baDi hai shan
tazim jis ki karte hain to ab aur KHan
muflis hue to hazrat-e-luqman kiya hai yan
isa bhi ho to koi nahin puchhta miyan
hikmat hakim ki bhi Dubaati hai muflisi
jo ahl-e-fazl aalim o fazil kahate hain
muflis hue to kalma talak bhul jate hain
wo jo gharib-ghuraba ke laDke paDhate hain
un ki to umr bhar nahin jati hai muflisi
muflis kare jo aan ke mahfil ke bich haal
sab jaanen roTiyon ka ye Dala hai is ne jal
gir gir paDe to koi na liye use sambhaal
muflis mein howen lakh agar ilm aur kamal
sab KHak bech aa ke milati hai muflisi
jab roTiyon ke baTne ka aa kar paDe shumar
muflis ko dewen ek tawangar ko chaar chaar
gar aur mange wo to use jhiDken bar bar
muflis ka haal aah bayan kya karun main yar
muflis ko is jagah bhi chabaati hai muflisi
muflis ki kuchh nazar nahin rahti hai aan par
deta hai apni jaan wo ek ek nan par
har aan TuT paDta hai roTi ke KHwan par
jis tarah kutte laDte hain ek ustuKHwan par
waisa hi muflison ko laDati hai muflisi
karta nahin haya se jo koi wo kaam aah
muflis kare hai us ke tain insiram aah
samjhe na kuchh halal na jaane haram aah
kahte hain jis ko sharm-o-haya nang-o-nam aah
wo sab haya-o-sharm uDati hai muflisi
ye muflisi wo shai hai ki jis ghar mein bhar gai
phir jitne ghar the sab mein usi ghar ke dar gai
zan bachche rote hain goya nani guzar gai
ham-saya puchhte hain ki kya dadi mar gai
bin murde ghar mein shor machati hai muflisi
lazim hai gar ghami mein koi shor-ghul machae
muflis baghair gham ke hi karta hai hae hae
mar jawe gar koi to kahan se use uThae
is muflisi ki KHwariyan kya kya kahun main hae
murde ko be kafan ke gaDati hai muflisi
kya kya muflisi ki kahun KHwari phakaDiyan
jhaDu baghair ghar mein bikharti hain jhakaDiyan
kone mein jale lapTe hain chhappar mein makaDiyan
paisa na howe jin ke jalane ko lakDiyan
dariya mein un ke murde bahati hai muflisi
bibi ki nath na laDkon ke hathon kaDe rahe
kapDe miyan ke baniye ke ghar mein paDe rahe
jab kaDiyan bik gain to khanDar mein paDe rahe
zanjir ne kiwaD na patthar gaDe rahe
aaKHir ko inT inT khudati hai muflisi
naqqash par bhi zor jab aa muflisi kare
sab rang dam mein kar de musawwir ke kirkire
surat bhi us ki dekh ke munh khinch rahe pare
taswir aur naqsh mein kya rang wo bhare
us ke to munh ka rang uDati hai muflisi
jab KHub-ru pe aan ke paDta hai din siyah
phirta hai bose deta hai har ek ko KHwah-maKHwah
hargiz kisi ke dil ko nahin hoti us ki chah
gar husn ho hazar rupe ka to us ko aah
kya kauDiyon ke mol bikati hai muflisi
us KHub-ru ko kaun de ab dam aur diram
jo kauDi kauDi bose ko raazi ho dam-ba-dam
Topi purani do to wo jaane kulah-e-jism
kyunkar na ji ko us chaman-e-husn ke ho gham
jis ki bahaar muft luTati hai muflisi
aashiq ke haal par bhi jab aa muflisi paDe
mashuq apne pas na de us ko baiThne
aawe jo raat ko to nikale wahin use
is Dar se yani raat o dhanna kahin na de
tohmat ye aashiqon ko lagati hai muflisi
kaise hi dhum-dham ki ranDi ho KHush-jamal
jab muflisi ho kan paDe sar pe us ke jal
dete hain us ke nach ko ThaTThe ke bich Dal
nache hai wo to farsh ke upar qadam sambhaal
aur us ko ungliyon pe nachati hai muflisi
us ka to dil Thikane nahin bhaw kya batae
jab ho phaTa dupaTTa to kahe se munh chhupae
le sham se wo subh talak go ki nache gae
auron ko aaTh sat to wo do Take hi pae
is laj se ise bhi lajati hai muflisi
jis kasbi ranDi ka ho halakat se dil hazin
rakhta hai us ko jab koi aa kar tamash-bin
ek paun paise tak bhi wo karti nahin nahin
ye dukh usi se puchhiye ab aah jis ke tain
sohbat mein sari raat jagati hai muflisi
wo to ye samjhe dil mein ki Dhela jo paungi
damDi ke pan damDi ke missi mangaungi
baqi rahi chhadam so pani bharaungi
phir dil mein sochti hai ki kya KHak khaungi
aaKHir chabina us ka bhunati hai muflisi
jab muflisi se howe kalawant ka dil udas
phirta hai le tambure ko har ghar ke aas-pas
ek paw ser aane ki dil mein laga ke aas
gori ka waqt howe to gata hai wo babhas
yan tak hawas us ke uDati hai muflisi
muflis biyah beTi ka karta hai bol bol
paisa kahan jo ja ke wo lawe jahez mol
joru ka wo gala ki phuTa ho jaise Dhol
ghar ki halal-KHori talak karti hai ThiThol
haibat tamam us ki uThati hai muflisi
beTe ka biyah ho to na byahi na sathi hai
ne raushni na baje ki aawaz aati hai
man pichhe ek maili chadar oDhe jati hai
beTa bana hai dulha to bawa baraati hai
muflis ki ye baraat chaDhati hai muflisi
gar byah kar chala hai sahar ko to ye bala
shahdar nana hijDa aur bhaT munDchaDa
khinche hue use chale jate hain ja-ba-ja
wo aage aage laDta hua jata hai chala
aur pichhe TapDiyon ko bajati hai muflisi
darwaze par zanane bajate hain taliyan
aur ghar mein baiThi Domni deti hain galiyan
malan gale ki haar ho dauDi le Daliyan
saqqa khaDa sunata hai baaten razaliyan
ye KHwari ye KHarabi dikhati hai muflisi
koi shum be-haya koi bola nikhaTTu hai
beTi ne jaana bap to mera nikhaTTu hai
beTe pukarte hain ki baba nikhaTTu hai
bibi ye dil main kahti hai achchha nikhaTTu hai
aaKHir nikhaTTu nam dharaati hai muflisi
muflis ka dard dil mein koi Thanta nahin
muflis ki baat ko bhi koi manta nahin
zat aur hasab-nasab ko koi jaanta nahin
surat bhi us ki phir koi pahchanta nahin
yan tak nazar se us ko giraati hai muflisi
jis waqt muflisi se ye aa kar hua tabah
phir koi is ke haal pa karta nahin nigah
dalidari kahe koi Thahra de ru-siyah
jo baaten umr bhar na suni howen us ne aah
wo baaten us ko aa ke sunati hain muflisi
chulha tawana pani ke maTke mein aabi hai
pine ko kuchh na khane ko aur ne rakabi hai
muflis ke sath sab ke tain be-hijabi hai
muflis ki joru sach hai ki yan sab ki bhabi hai
izzat sab us ke dil ki ganwati hai muflisi
kaisa hi aadmi ho par iflas ke tufail
koi gadha kahe use Thahra de koi bail
kapDe phaTe tamam baDhe baal phail phail
munh KHushk dant zard badan par jama hai mail
sab shakl qaidiyon ki banati hai muflisi
har aan doston ki mohabbat ghaTati hai
jo aashna hain un ki to ulfat ghaTati hai
apne ki mehr ghair ki chahat ghaTati hai
sharm-o-haya o izzat-o-hurmat ghaTati hai
han naKHun aur baal baDhati hai muflisi
jab muflisi hui to sharafat kahan rahi
wo qadr zat ki wo najabat kahan rahi
kapDe phaTe to logon mein izzat kahan rahi
tazim aur tawazoa ki babat kahan rahi
majlis ki jutiyon pe biThati hai muflisi
muflis kisi ka laDka jo le pyar se uTha
bap us ka dekhe hath ka aur panw ka kaDa
kahta hai koi juti na lewe kahin chura
naT-khaT uchakka chor daghabaz gaTh-kaTa
sau sau tarah ke aib lagati hai muflisi
rakhti nahin kisi ki ye ghairat ki aan ko
sab KHak mein milati hai hurmat ki shan ko
sau mehnaton mein us ki khapati hai jaan ko
chori pe aa ke Dale hi muflis ke dhyan ko
aaKHir nadan bhik mangati hai muflisi
duniya mein le ke shah se ai yar ta-faqir
KHaliq na muflisi mein kisi ko kare asir
ashraf ko banati hai ek aan mein faqir
kya kya main muflisi ki KHarabi kahun 'nazir'
wo jaane jis ke dil ko jalati hai muflisi
Nazm
Muflisi
Nazeer Akbarabadi