zof se aankhon ke niche titliyan phirti hui
auj-e-KHuddari se dil par bijliyan girti hui
lash kandhe par KHud apne jazba-e-takrim ki
multaji chehre pe lahren si ummid-o-bim ki
izzat-e-ajdad ke sar par dama-dam Thokaren
rishta-e-awaz par lafzon ki paiham Thokaren
chehra-e-afsurda par ThanDa pasina sharm ka
sust nabzen bhik ka lahje ke andar Thikra
qarz ki darKHwast ki uljhi hui taqrir mein
kapkapi aasab ki bechain dil ki larzishen
ek taraf hajat ki shiddat ek taraf ghairat ka josh
nutq par harf-e-tamanna dil mein ghusse ka KHarosh
jumbish-e-mizhgan ke zer-e-saya nadari ki raat
jauhar-e-insaniyat joDe hue aankhon mein hat
sans dahshat se zamin ki aasman roke hue
muflisi mardana lahje ki inan roke hue
lab pe KHushki ruKH pe zardi aankh sharmai hui
chashm o abru mein KHudi ki aag kajlai hui
nafas mein sherana tewar aarzu ruba-mizaj
ehtiyaj o ehtiyaj o ehtiyaj o ehtiyaj!
Nazm
Muflis
Josh Malihabadi