muddat ke baad tum se mila hun to ye khula
ye waqt aur fasla dhoka nazar ka tha
chehre pe umr bhar ki masafat raqam sahi
dil ke liye tamam safar lamha bhar ka tha
kaisi ajib saat-e-didar hai ki hum
phir yun mile ki jaise kabhi dur hi na the
aankhon mein kam-sini ke wo sab KHwab jag uThe
jin mein nigah o dil kabhi majbur hi na the
masum kis qadar thin wo be-nam chahaten
bachpan se ham-kanar tha ahd-e-shabab bhi
yun aatish-e-badan mein thi shabnam ghuli hui
mahtab se ziyaada na tha aaftab bhi
phir wo hawa chali ki sabhi kuchh bikhar gaya
wo mahfilen wo dost wo gul-rang qahqahe
ab raqs-e-gard-baad ki surat hai zindagi
ye waqt ka azab kahan tak koi sahe
ab tum milin to kitne hi gham hain tumhaare sath
patthar ki tarah tum ne gizari hai zindagi
kitna lahu jalaya to ye phul muskurae
kis kis jatan se tum ne sanwari hai zindagi
main ne bhi ek johd-e-musalsal mein kaT di
wo umr thi jo phul se arman liye hue
ab wo junun raha hai na wo mausam-e-bahaar
baiTha hun apna chaak-e-gireban siye hue
ab apne apne KHun ki amanat hai aur hum
aur in amanaton ki hifazat ke KHwab hain
aankhon mein koi pyas ho dil mein koi taDap
phaile hue ufuq se ufuq tak sarab hain
kis ko KHabar thi lamha ek aisa bhi aaega
mazi tamam phir simaT aaega haal mein
mahsus ho raha hai ki guzra nahin hai waqt
ek lamha baT gaya tha faqat mah o sal main
tum bhi wahi ho main bhi wahi waqt bhi wahi
han ek bujhi bujhi si chamak chashm-e-nam mein hai
ye lamha jis ke sehr mein khoe hue hain hum
kitni masarraton ka surur is ke gham mein hai
Nazm
Muddat ke baad
Himayat Ali Shayar