mudawa ho nahin sakta
dil-e-sada
ab is aatish-numa ke samne ijz-e-mohabbat ka iada ho nahin sakta
ye kya kam hai
ki apne aap tak ko bhul kar
us husn-e-KHud-agah ki KHatir na jaane kitne roz-o-shab the
jo hum ne ginwae the
bahut sare dinon ki gaThDiyan thin
jin ko khola tak na tha hum ne
bas ek tah-KHana-e-umr-e-guzishta mein
hum in sab gaThDiyon ko Dher karte ja rahe the un ghani
palkon ki ThanDi chhanw ko mahsus karne ki tamanna mein hamein
ye dhyan kab tha kaun si gaThDi mein kitna KHubsurat din
bandha hai aur us be-dam din ki subh-sahir kis hawa
ke tahat se utri hai kin phulon ki KHushbu zeb-e-tan
kar ke sawad-e-shab se jhanki hai
lab-o-ruKHsar ko qaus-e-quzah ke rang dene ki
abas KHwahish mein hum ko dhyan kab tha kaun si gaThDi
main kis din ki dopahar apne tilism-asar raazon ko sunahri
dhup ke thal mein jagati hai
chhaton par sukhti mirchon
gali mein gunjti asrar mein Dubi hui si KHamushi mein
kaun se lamhe sulagte hain
hamein ye dhyan kab tak
us tamanna-zar ke pairahan-e-sad-rang ke andar bahakti garm KHushbu
ke KHiram-e-taza mein khoe huon ko dhyan kab tha kaun
se din ki suhani sham kin ufuqon ko roti hai
bahut sare dukhon ko darmiyan
jo ek sham-e-arzu thi us ko lo ke samne jhuk kar hum us
be-mehr chashm-e-munharif mein bas zara si der ko ek harf ki tabir paDhna
chahte the aur KHamir-e-ishq mein gundhe hue ek KHwab ka izhaar
karna chahte the aur us sari kahani mein hamein
ye dhyan kab tha kaun si gaThDi mein kis din
ka janaza hai
abhi tah-KHana-e-umr-e-guzashta ka ye darwaza khula
to dhyan aaya hai ki itni Dher sari umr miTTi mein
mila kar jo KHasara hath aaya hai dobara ho nahin sakta
mudawa ho nahin sakta
dil-e-sada
ab is aatish-numa ke samne ijz-e-mohabbat ka iada ho nahin sakta
Nazm
Mudawa ho nahin sakta
Ayub Khawar