aachanak
KHud mein ye kaisi tabdiliyan mahsus kar raha hun main
mere baal daraaz aur ghane ho gae hain
main ab do choTiyan bandhne laga hun
meri aankhen pahle se ziyaada maKHmur ho gai hain
wo ab dekhne ke bajae ziyaada rone lagi hain
mere honT kohre ki ThanD ki tarah safed paD gae hain
wo ab bolne ke bajae ziyaada kapkapane lage hain
mera sina pahle sapaT tha
ab is par do uThanen uTh aai hain
dudh si koi shai is mein ThaThen marne lagi hai
main pahle qamis aur painT pahanta tha
ab main shalwar aur jampar pahanne laga hun
lagta hai abhi gyarah september hi ko main
ghusl-e-janabat se farigh hua hun
aachanak
achanak KHud mein ye kaisi tabdiliyan
mahsus kar raha hun main
abhi abhi thoDi der pahle mujhe ek zabardast qai hui thi
dai aai thi
us ne mera jampar utar ke meri kokh ke
meri kokh par
ThanDa Thaar qabr sa hath rakh ke kaha tha
mubarak ho tum man banne wale ho
Nazm
Mubarak ho
Salahuddin Parvez