tumhaare dil ki sang-laKH wadi mein
dushwar-guzar aur pur-pech raston ke beach
kahin kisi maqam par
ek shikasta-haal jhonpaDi garm hawa ke thapeDon se
apni zang-alud meKHon ke bal par
waise hi phaDphaDa rahi hai
jaise diye ki jaan-ba-lab lau
andheron ko shikast dene ke baad bujhne lagti hai
jin lahron aur un se janm lene wali aawazon ko
sang-dil shair phaDphaDahaT se tabir kar raha hai
wo sang-laKH wadi ka dukh hai
aur shikasta-haal jhonpaDi ek muazziz shair ki kaenat hai
*
fitrat ke hashiya-nawison ne
chand bosida KHwahishat ki kai phaTi chadaren oDh kar
KHud ko fitrat ke rangon mein rangne se
apne tain camouflage kar liya hai
kya wo kaTi phaTi chadaron se
pattharon ko rote bilakte nahin dekh sakte
fitrat ne un ko bhi pighal jaane ki kamzori se aashna kiya hai
lekin wo shairi nahin karte
*
duniya ke tamam shair
kurra-e-arz par pattharon ke mabadon mein mahbus hain
lekin wo un se nazren chura kar
atraf mein khil uThne wale rangin shagufon ki
tahriri musawwiri mein magan hain
shair se behtar kaun jaan sakta hai
ki arzi kokh se insan ka janm mashaqqat mein hua hai
aur use zindagi is tarah di gai hai
jaise koi shikasta-haal jhonpaDi mein daKHil ho
*
bosida KHwahishat ki kaTi phaTi chadaren oDhne wale
KHud ko muazziz samajhne par musir hai
ai dil mein sang-laKH wadi tamir karne wale mahbub
kya tum unhen ye bata sakte ho
ki pattharon ka husn la-zawal hota hai
Nazm
Muazziz shair ki kaenat
Rafiullah Mian