اردو हिंदी
Mrs-sala-manka | Shaahi Shayari
mrs-sala-manka

Nazm

Mrs-sala-manka

Noon Meem Rashid

;

KHuda hashr mein ho madad-gar mera
ki dekhi hain main ne mrs-sala-manka ki aankhen

mrs-sala-manka ki aankhen
ki jin ke ufuq hain junubi samundar ki nili rasai se aage

junubi samundar ki nili rasai
ki jis ke jazire hujum-e-sahar se daraKHshan

daraKHshan jaziron mein zartab o unnab o qurmuz parindon ki jaulan-gahen
aise phaili hui jaise jannat ke daman

parinde azal aur abad ke mah o sal mein baal-afshan!
KHuda hashr mein ho madad-gar mera

ki main ne liye hain mrs-sala-manka ke honTon ke bose
wo bose ki jin ki halawat ke chashme

shumali zaminon ke zartab o unnab o qurmuz daraKHton
ke madhosh baghon se aage

jahan zindagi ke rasida shagufon ke sinon
se KHwabon ke ram-dida zambur lete hain ras aur pite hain wo

ki jis ke nashe ki jila se
zamanon ki nadida mehrab ke do kinaron ke niche

hain yak-bargi gunj uThte KHala o mala ke jalajil
jalajil ke naghme baham aise paiwast hote hain jaise

mrs-sala-manika ke lab mere lab se!
KHuda hashr mein ho madad-gar mera

ki dekha hai main ne
mrs-sala-manka ko bistar mein shab bhar barahana

wo gardan wo bahen wo ranen wo pistan
ki jin mein junubi samundar ki lahron ke tufan

shumali daraKHton ke baghon ke phulon ki KHushbu
jahan dam-ba-dam itr o tufan baham aur gurezan

mrs-sala-manika ka jism-e-barhana
ufuq-ta-ufuq jaise angur ki bel jis ki

ghiza aasmanon ka nur aur hasil
wo lazzat ki jis ka nahin koi payan

KHuda ke siwa kaun hai pak-daman!