mori arj suno dast-gir pir
mai ri kahun kase main
apne jiya ki pir
nayya bandho re
bandho re kanar-e-dariya
more mandir ab kyun nahin aae
is surat se
arz sunate
dard batate
nayya khete
minnat karte
rasta takte
kitni sadiyan bit gai hain
ab ja kar ye bhed khula hai
jis ko tum ne arz guzari
jo tha hath pakaDne wala
jis ja lagi naw tumhaari
jis se dukh ka daru manga
tore mandir mein jo nahin aaya
wo to tumhin the
wo to tumhin the
Nazm
Mori arj suno
Faiz Ahmad Faiz