اردو हिंदी
Mom pighlata raha tera KHayal | Shaahi Shayari
mom pighlata raha tera KHayal

Nazm

Mom pighlata raha tera KHayal

Rukhsana Noor

;

kya sulagti raat hai mere nadim
aatishin shorish-zada tere KHayal

tu ki koson dur mujh se pur-yaqin
tu yahin pas mere hai kahin

rang hai ki nur ki barsat hai
chandni aur pyar ki komal sada

tere sanson ki mahak phaili hui
kitni gaD-maD ho gai hain dhaDkanen

lakh main ne bandh ke rakkha badan
teri nazron se jo pighla mom tha

ruh ko lazzat tumhaare qurb mein
aur aankhon mein tera manzar raha

raat kitne karb mein Dhalti rahi
mom pighlata raha tera KHayal

main ki mere jism ka har saz tu
tu ki teri be-niyazi

kya kahun!!