abhi Thahro
abhi se is talluq ka koi unwan mat socho
abhi to is kahani mein
mohabbat ke adhure bab ki takmil hone tak
nazar ki dhup mein rakkhe hue KHwabon ke
sare zaiqe tabdil hone tak
bahut se moD aane hain
mujhe un se guzarne do
zara mahsus karne do
ki mere panw ke niche zamin ne rang badla hai
mere lahje mein apna kis tarah aahang badla hai
mujhe thoDa sambhalne do abhi Thahro
abhi Thahro ki wo KHush-baKHt saat bhi abhi
mujh tak nahin pahunchi
jo dil ke aaine ko wahm ki andhi gali se
etibar-e-zat ki sarhad pe lati hai
use rasta batati hai
abhi un raston par tum mujhe kuchh der chalne do
abhi Thahro
koi KHwahish umid-o-bim ke mabain ab bhi
sans leti hai
use is karb se aazad karne do
wo sare KHwab
jin ko dekhne ka qarz mein luTa nahin pai
mujhe un ke liye tabir ka safha palaTne do
abhi Thahro
kisi bite hue mausam ke baKHshe zaKHm
ab bhi aankh ki putli mein raushan hain
zara ye zaKHm bharne do
masihai tumhaari
ruh ki patal tak kaise pahunchti hai
mujhe andaza karne do
abhi Thahro
abhi se is talluq ka
koi unwan mat socho
Nazm
Mohlat
Nahid Qamar