tum apne kamre mein gahri tanhaiyon mein gum the
ghaDi ki Tik-Tik jo sui ko Tekte guzarti
tumhein ye mahsus hone lagta
ki jaise sar par kai hathauDe baras rahe hain
tumhaari kursi ki charcharahaT
tumhaari tanhaiyon pe lagta ki bain karti koi rudali
idhar main apne jahan-e-rangin mein ji rahi thi
ki mere atraf zindagi thi
bahaar-e-taza bhi dilkashi thi
hasin mulaem si raushni thi
phir ek din ittifaq se mil gae the hum tum
mohabbaton ke asir ho kar chale the hum tum
magar safar mein na jaane kaise kahan pe aaKHir
ye moD aaya
nasib ne phir ye din dikhaya
haqiqaton ko zawal aaya
tum aaj apne jahan-e-rangin mein ji rahe ho
main apne kamre mein gahri tanhaiyon mein gum tha
Nazm
Mohabbat
Ambareen Haseeb ambar