main jism o jaan ke tamam rishton se chahta hun
nahin samajhta ki aisa kyun hai
na KHal-o-KHad ka jamal us mein na zindagi ka kamal koi
jo koi us mein hunar bhi hoga
to mujh ko is ki KHabar nahin hai
na jaane phir kyun!
main waqt ke daeron se bahar kisi tasawwur mein uD raha hun
KHayal mein KHwab o KHalwat-e-zat o jalwat-e-bazm mein shab o roz
mera lahu apni gardishon mein usi ki tasbih paDh raha hai
jo meri chahat se be-KHabar hai
kabhi kabhi wo nazar chura kar qarib se mere yun bhi guzra
ki jaise wo ba-KHabar hai
meri mohabbaton se
dil o nazar ki hikayaten sun rakhi hain us ne
meri hi surat
wo waqt ke daeron se bahar kisi tasawwur mein uD raha hai
KHayal mein KHwab o KHalwat-e-zat o jalwat-e-bazm mein shab o roz
wo jism o jaan ke tamam rishton se chahta hai
magar nahin jaanta ye wo bhi
ki aisa kyun hai
main sochta hun wo sochta hai
kabhi mile hum to aainon ke tamam baatin ayan karenge
haqiqaton ka safar karenge
Nazm
Mohabbat
Obaidullah Aleem