zamana is ki KHwahish mein azal se chur hai jaanan
mohabbat nur hai jaanan
mohabbat nur hai jaanan
ruKH-e-mahtab se raushan nigar-e-KHwab se raushan
nazar mein khulne wale sabza-e-shadab se raushan
sitaron se kahin baDh kar chamak is ke jilau mein hai
jo aab-o-tab hai is mein kahan suraj ki zau mein hai
ye naKHl-e-ishq par jaise wafa ka baur hai jaanan
mohabbat nur hai jaanan
mohabbat nur hai jaanan
ye jis dil mein utar jae use mamur kar jae
sarapa rang kar jae tamannaon se bhar jae
ye aisa kaif hai jo har qadam par zindagi pur-nur karta hai
utar kar ruh mein is ke andhere dur karta hai
ye wo ehsas hai jo har ghaDi bharpur hai jaanan
mohabbat nur hai jaanan
mohabbat nur hai jaanan
Nazm
Mohabbat nur hai jaanan
Naz Butt