tujh ko gar meri zarurat hai
to phir jaan-e-hayat
apne farsuda mohabbat ke KHayalat badal
hijr o gham ranj-o-alam wasl o firaq
is kaThin waqt mein
beja si shikayat na kar
dekh wo sab bhi to main
dekh ki pahuncha hun yahan
jis ko tu dekh le ek bar
to teri aankhen
umr bhar sakte ke aalam se na nikal paen
dekh main is ajab maqam pe
aane se qabl
aisi rahon se guzar aaya hun
jahan se tu
ek pal ko bhi jo guzre
to tere zaKHm-e-pa
ban ke nasur tujhe
dard mein rakkhen har dam
dekh main chahat-o-ulfat ka to qail magar
har ek chiz har ek rishta zamane mein
mohabbat hai magar
dekh is waqt mere des mein
phaili hui hai
har taraf KHun ki barud ki
nafrat ki phuwar
sun zara kone mein rote hue
bachche ki pukar
dekh barud ke hathon se ye
luthDa hua jism
dekh rozi ko bhaTakta hua
bachchon ka wo bap
dekh phir so gae
is des ke bachche bhuke
dekh us man ki taraf dekh
ki jis ki aankhen
nazren kho baiThi hain rote hue
us aas pe ki
lauT aaega wo us ka
jawan lal kabhi
ghar se nikla tha jo
hathon mein degreeyon ko liye
aaj tak lauT ke aaya nahin
umren bitin
mujh ko ye dard rakha karte hain
nindon se pare
soch is dard mein
chahat ki kise KHwahish ho
soch is dard mein rahat ki
kise KHwahish ho
mujh ko jo karna hai
wo ab un ke liye karna hai
mujh ko jina hai to bas
un ke liye jina hai
main ne mana ki nahin aur koi
tujh sa hasin
par mujhe soch ki
is lahr ne aa ghera hai
jis se chhuTkara meri jaan
ab mumkin hi nahin
tujh ko gar meri zarurat hai
to phir jaan-e-hayat
apne farsuda mohabbat ke KHayalat badal
hath mein hath de
aur phir tu mere sath mein chal
Nazm
Mohabbat
Nadeem Gullani