wahi be-tabiyan dil ki
wahi phirta hua dariya
wahi kachcha ghaDa hai muntazir sach ke musafir ka
wahi shab ki siyah chadar
chhupi hain sazishen jis mein azizon ki
purane doston ki ham-jalison ki
wahi sargoshiyan sail-e-sitam ki
wahi manzar
jo hota hai hamesha ruh-farsa hadson ka pesh-KHema sa
wahi sare qarine sare hile hain baham ab ke
jo ahl-e-dil ko be-manzil banane ki hain tadbiren
magar ahl-e-jahan ko kya KHabar
kachche ghaDe par tair kar rah-e-mohabbat mein fana hona
alag se ek kahani hai
ki ye wo maut hai jis mein
baqa-e-jawedani hai
mohabbat mar nahin sakti
mohabbat ghair-fani hai
mohabbat ghair-fani hai
Nazm
Mohabbat mar nahin sakti
Mohammad Tanviruzzaman