main is shahr-e-KHarabi mein faqiron ki tarah dar dar phira barson
use galiyon mein saDkon par
gharon ki sard diwaron ke pichhe DhunDhta tanha
ki wo mil jae to tohfa use dun apni chahat ka
tamanna meri bar aai ki ek din ek darwaza khula aur
main ne dekha wo shanasa chand sa chehra
jo shadabi mein gulshan tha
main ek shan-e-gadayana liye us ki taraf lapka
to us ne chashm-e-be-parwa ke halke se ishaare se mujhe roka
aur apni zulf ko mathe pe lahraate hue puchha
kaho ai ajnabi sail
gada-e-be-sar-o-saman
tumhein kya chahiye hum se
main kahna chahta tha umr guzri jis ki chahat mein
wahi jab mil gaya to aur ab
kya chahe mujh ko
magar taqrir ki quwwat na thi mujh mein
faqat ek lafz nikla tha labon se kanpta Darta
jise ummid kam thi us ke dil mein bar pane ki
mohabbat lafz tha mera
magar us ne suna roTi
Nazm
Mohabbat lafz tha mera
Arsh Siddiqui