اردو हिंदी
Mohabbat ki manzil | Shaahi Shayari
mohabbat ki manzil

Nazm

Mohabbat ki manzil

Ateeya Daud

;

aise to nahin chheDo mere jism ke tambure ko
jaise koi bachcha shararat kare

mera jism koi raaz nahin hai
jise daryaft karne ke liye

kisi naqshe ki zarurat ho
ye algebra ka sawal nahin hai

jis ka pahle se formula tayyar ho
is saz ko bajaane ke liye koi bhi tarkib

duniya ki kisi bhi kitab mein darj nahin
ye saz az-KHud bajne lage agar

tere nain mohabbat ke diye ban kar jal uThen
teri ungliyon ki poren

mere jism par aise safar karti hain
jaise koi muhim jo pahaD ki choTi par

fatah ka parcham lahrana chahe
barf ka pahaD bhi pighalne lage agar

tere hath mere par ban kar
mujhe mohabbat ki manzil ki taraf

uDa kar le jaen