chalo mohabbat ki baat karen
ab
maile jismon se upar uTh kar
bhulte hue ki kabhi
ghuTne Tek chuke hain hum
aur dekh chuke hain
apni ruh ko tar tar hote
jhuTe faKHr ke sath
chalo mohabbat ki baat karen
zindagi ke pairon tale
be-rahmi se raunde jaane ke baad
marham lagaen zaKHmi wajud par
jo sharm se aankhen jhuka kar
baiTha hai sapnon ke mazar pe
is se buri koi baat nahin kar sakte
hum apni hi zid mein
dhoka de chuke hain apne-ap ko
khel chuke hain KHud apni izzat se
bhog chuke hain jhuT ko sach ki tarah
ab
in haalat mein
koi ghair-zaruri baat hi kar sakte hain hum
aao mohabbat ki baat karen
Nazm
Mohabbat ki baat
Irshad Kamil