aurat!
tere kitne rup,
tere kitne nam
mohabbat ke is be-karan safar mein
kitne paDaw, kitne maqam
kabhi kali, kabhi phul
aur kabhi murjhai hui pankhuDi
kabhi anar, kabhi mahtab aur kabhi phuljhaDi
taKHliq ka mamba, shakti ka KHazina teri zat
mehwar-e-la-mutanahi silsila-e-hayat-o-mamat
shafqat, mohabbat, isar-o-wafa sab tere rup
sita, sawitri, radha, mera
sachchi chahat ke nuqush
ek faqat chahat ka atiyya, tera ye hire ka rup
aurat mein ho gar KHud-e'timadi
dushasan draupadi ki swagat ko aae
bheron KHud sherawali ki iffat bachae
aurat hi hasil-e-taKHliq-e-duniya hai
aurat hi shuur-e-adam ka pesh-KHema hai
KHuda ne jo baKHsha hai tujhe nason ka jal
ajab us ki qudrat hai ajab us ka kamal
kahin meinka to kahin maryam hai tu
kahin aulad ki juya zauja-e-zakarya hai tu
injil o quran sab tere ratab-ul-lisan
ki tu hi asl mein hai dharti ki shan
mamta karuna tere nam
ai man! tujhe salam
aaghosh-e-madar ko yun pahla maktab Thahraya
ki tu ne hi aadam ko mohabbat karna sikhaya
jis ne dil mein tere
sabhon ki mohabbat rakhi
usi ne qadmon mein tere jannat rakhi
aql-e-admi aaj itni kyun hairan hai
tu hi aadmi ki pahli pahchan hai
tere hi dam se rang-o-bu-e-kaenat
az-azal ta-abad aadam ki tu hai sharik-e-hayat
sabhon ka tujh par ye e'tibar hai
shajar-e-hayat ka tu hi barg-o-bar hai
ye duniya bhi tujh hi se numudar hai
girhast jiwan ka aashram hai tujh se tabinda
tu hi bani phir aadam ki najat-dahinda
to hi jannat ki pahli haqdar hai
sari ibaadat parastish ki hai tu ruh-e-rawan
ai aurat aisa tera raushan kirdar hai
mohabbat ke is be-karan safar mein
tujh se hi zindagi ustuwar hai
Nazm
Mohabbat ke is be-karan safar mein
Perwaiz Shaharyar