aisi tanhai ki ghar dasht lage
aisa sannaTa agar patta hile
aankh darwaze ki aahaT pe ja ke ruk jae
kash aa jae koi
phir mohabbat ka safir
meri anjaan si chahat ka asir
wo jo aa jae to aangan mein sitare aa jaen
is makan mein bhi ki jis mein tanha
rah raha hun main kai sadiyon se
aane wale ke muqaddar ke tufail
meri manzil mera ghar mere kinare aa jaen
jab bhi is aalam-e-kam-hoshi mein
dastak-e-dil se aankh khul jae
ghar ki dahliz par Thahar jae
dur ek saya sa nazar aae
dil ye phir bar bar samjhae
han abhi bas abhi aata hoga
meri jaanib bhi koi
sirf mohabbat ka safir
meri chahat ka asir
jab bhi aahaT si koi hoti hai
aur phir KHud ko 'adil'
dastak-e-dil ke udhar
tanha khaDa pata hun
aur mera aks
mere apne hi aaine mein
Thahre hue pani mein
har subh mujh ko nazar aata hai
rose ye samjhata hai
meri dahliz pe koi bhi nahin
bas mein hun
ek anjaan si chahat ka safir
ek gumnam mohabbat ka faqir
Nazm
Mohabbat ka faqir
Adeel Zaidi