is ek sal mein
kitne sal guzarenge hum
har ek din, ek sal misal
har ek din ki subh ka suraj harf-e-sawal
har ek din ki jhulsi hui aur bhigi hui dopahr zawal
har ek din ki, har ek sham sham-e-jamal
har ek sham ki raat kamal
wasl ke har ek lamhe mein hain jaise sadiyan ghuli hui
hijr ke har lamhe mein jaise
halki aanch pe ret ki dhaDyan bhuni hui
sine mein har dhaDkan, jaise
cholastani unT ki gardan mein hon Taliyan bandhi hui
aankhon ki do jhilon mein hain
kanwal malal ke khile hue
honT aapas mein mile hue
hichkiyon mein hain bandhe hue
sans ki phans hai sale suraj ke sine mein gaDi hui
chand haram-udahar, samundar goTh ke andar
barfon barfon dhansa hua
din aur raat bhi
nang-dhaDange ek duje se lage hue
un ke panw-tale miTTi hai
aur na sar par Topi hai
waqt aane wale barson ke KHala mein chalta jata hai
ye ek sal mohabbat ka
thame hue din raat ke nange-pan par jamta jata hai
Nazm
Mohabbat ka ek sal
Ayub Khawar