mohabbat daimi sukh hai
ki jis ko mit ki ghaDiyan
kabhi kam kar nahin saktin
ye mausam ek dafa aae
to phir aa kar shahr jae
hasin shadab si kaliyan
nigahon mein saman jaen
to phir ye mar nahin saktin
KHayalon ki rawani mein
ki jaise bahte pani mein
kanwal khil jaen KHwabon ke
to fitrat muskuraati hai
ishaara kar ke taron se
chhalakte aabshaaron se
madhur sargoshiyan kar ke hamein rasta dikhati hai
ye rasta kis qadar hairan-kun manzar dikhata hai
usi raste pe insan KHud ko pahli bar pata hai
mohabbat ko saza kahne se pahle soch kar rakhna
ki jo us se bichhaD jae
use manzil nahin milti
bikhar jaen jo ban kar KHak phir mahfil nahin milti
mohabbat daimi sukh hai
Nazm
Mohabbat daimi sukh hai
Shaista Mufti