jhuTpuTe ke waqt ghar se ek miTTi ka diya
ek buDhiya ne sar-e-rah la ke raushan kar diya
taki rah-gir aur pardesi kahin Thokar na khaen
rah se aasan guzar jae har ek chhoTa baDa
ye diya behtar hai un jhaDon se aur us lamp se
raushni mahlon ke andar hi rahi jin ki sada
gar nikal kar ek zara mahlon se bahar dekhiye
hai andhera ghup dar-o-diwar par chhaya hua
surKH-ru aafaq mein wo rahnuma minar hain
raushni se jin ki mallahon ke beDe par hain
hum ne in aali binaon se kiya akasr sawal
aashkara jin se un ke baniyon ka hai jalal
shan-o-shaukat ki tumhaari dhum hai aafaq mein
dur se aa aa ke tum ko dekhte hain ba-kamal
qaum ko is shan-o-shaukat se tumhaari kya mila
do jawab is ka agar rakhti ho yara-e-maqal
sar-nigun ho kar wo sab bolin zaban-e-haal se
ho saka hum se na kuchh al-infial al-infial
baniyon ne tha banaya is liye goya hamein
hum ko jab dekhen KHalaf aslaf ko roya karen
shauq se us ne banaya maqbara ek shandar
aur chhoDa us ne ek aiwan-e-ali yaadgar
ek ne duniya ke paude bagh mein apne lagae
ek ne chhoDe dafine sim-o-zar ke be-shumar
ek muhibb-e-qaum ne apne mubarak hath se
qaum ki talim ki buniyaad Dali ustuwar
hogi aalam mein kaho sarsabz ye pichhli murad
ya wo aglon ki umiden laengi kuchh barg-o-bar
chashma-e-sar jyun hai jo bahta rahega yan wahi
sab utar jaengi chaDh chaDh naddiyan barsat ki
Nazm
MiTTi ka diya
Altaf Hussain Hali