mujhe yun jagae rakhta ki kabhi na sone deta
sar-e-sham hote hote koi aa ke ye batata
ki KHizan baras rahi hai meri nind ke chaman mein
meri raat kho gai hai kisi jagte badan mein
meri raat raat aali wo hasab nasab piyari
wo gulab chehre wali wo rahim zulfon wali
wo bure dinon ki sathi wo udas gul kyari
mere sath rahne wali kahan jaegi diwani
ki na ghar hai is ka koi ki na ghar hai mera koi
kahan jaegi diwani
kahan jaegi diwani
abhi khil uThenge raste ki hazar raste hain
ki safar mein sath us ke kai bar hijraten hain
ki diya jalae rakhiyo kahin wo guzar na jae
ki hawa bachae rakhiyo kahin wo bikhar na jae
ki KHizan baras rahi hai meri nind ke chaman mein
meri raat kho gai hai kisi jagte badan mein
Nazm
Meri raat kho gai hai kisi jagte badan mein
Salahuddin Parvez