ab ke miTTi ki ibarat mein likhi jaegi
sabz patton ki kahani ruKH-e-shadab ki baat
kal ke dariyaon ki miTti hui mubham tahrir
ab faqat ret ke daman mein nazar aaegi
bund bhar nam ko taras jaegi be-sud dua
nam agar hogi koi chiz to meri aankhen
mera ujDa hua chehra meri patthar aankhen
qaht-e-afsana nahin aur ye be-abr falak
aaj us des kal is des ka waris hoga
hum se tarke mein milenge use bimar daraKHt
tez kirnon ki tamazat se chaTaKHte hue honT
dhup ka harf-e-junun lu ka wasiyyat-nama
aur mere shahr-e-tilismat ki be-dar aankhen
meri be-dar meri banjar meri patthar aankhen
Nazm
Meri patthar aankhen
Mustafa Zaidi