ghar ai dil-e-be-qarar zindan se kam nahin qaid kaun kaTe
hasin sarma ka chand diwana-war ko bula raha hai
fusun-e-mahtab ki qasam hai phir aaj shab kuchh na likh sakunga
phir aaj ghar mein na rah sakunga
ki ek junun sa hai mujh pe tari
manazir-e-koh-o-kunj jashn-e-shab-e-munawwar mana rahe hain
bula rahe hain mujhe mere waste qayamat uTha rahe hain
ghazab ki us barf-basta ThanDi hawa mein sailab chandni ka
badan to hai munjamid ragon mein lahu magar tamtama raha hai
bala ki hai sard raat lekin main aaj aawargi karunga
ki chand wadi ke zarre zarre ko jalwa-KHana bana raha hai
na ruk sakunga main aaj ghar mein
ki chandni ki kashish ghazab hai
safina-e-shauq-o-sher duniya-e-nur mein Dagmaga raha hai
sukut-e-shab mein faza bhi juzw-e-sukut-e-shab ho gai hai 'fitrat'
mah-e-daraKHshan faqat ghazal meri zer-e-lab gunguna raha hai
main aaj ghar par na ruk sakunga
hasin sarma ka chand ishaaron se dekh mujh ko bula raha hai
Nazm
Meri main jashn-e-shab-e-munawwar
Abdul Aziz Fitrat