tera ek KHat mere pas hai wo mohabbaton se likha hua
thi wo faslon ki tapish ajab mere hausle bhi pighal gae
jahan soz-e-hijr ka zikr hai wahin koi aansu gira hua
wahi ek tishna si aarzu kabhi qarz jis ka ada na ho
pas-e-harf shikwe hazar hun sar-e-lafz koi gila na ho
teri aarzu teri KHwahishon ka koi hisab na likh saka
main sarapa KHud hi sawal tha so koi jawab na likh saka
koi aisa KHat mujhe bhej phir
jo samajh sake mere rat-jagon ki zaban ko
meri laghzishon ki takan ko
meri bebasi ke bayan ko
tujhe kya pata tujhe kya KHabar
mere ham-safar
kabhi raushnai mein Dhal gaya kabhi bah gaya meri aankh se
wahi ek dard jise kabhi mere lab bayan na kar sake
Nazm
Meri hijraton ki zamin par teri chahaton se likha hua
Tariq Qamar