اردو हिंदी
Meri aawaz sunte ho | Shaahi Shayari
meri aawaz sunte ho

Nazm

Meri aawaz sunte ho

Noshi Gilani

;

main tanha hijr ke jangal ke ghaaron mein
jalati hun

suKHan ke wo diye jin ko
abhi bahar ki zahrili hawaen ajnabi mahsus karti hain

abhi ye raushni jo sach ki KHushbu ki hifazat ke liye
tarikiyon se laD rahi hai, na-shanasi ke

ghubar-alud raston se guzarti hai
abhi jugnu shabon mein apne hone ki gawahi tak nahin dete

abhi to titliyan maile paron se dar-ba-dar phirti hain be-chaari
abhi to chand bhi ThanDak nahin deta mohabbat ki

abhi to raat ke shanon pe hain haalat ki zulfen
mujhe malum hai main jaanti hun mujh ko rahna hai

isi ghaar-e-aziyyat mein
magar sun lo

yahin se mere honTon ko mila hai wasf-e-goyai
yahin se mere honTon ko mila hai wasf-e-goyai

yahin se main ne sach ki raushni KHud mein utari hai
isi ghaar-e-aziyyat ne mere lafzon ko aawazen ata ki hain

yahin se ek din suraj nikalna hai wafaon ka
yahin se ek din harf-e-mohabbat bhi janam lega

mere lafzon mein mani ka asar mahsus karte ho
meri aawaz sunte ho