mere panw ke niche KHak nahin kisi aur ke panw ki miTTi hai
darwaza khula
aur mah-e-zawal dar aaya
band makan ke rauzan-e-dar se
aage sat dulhan ki qabr hai
niche kuza-garon ki basti hai
kuza-garon ki basti mein mere panw ke niche KHak nahin
baDe qisse hain
baDe qisse hain dil sabr-o-sawal ke sunne ke
baDi baaten saif-o-kitab pe likhne ki
baDe KHwab hain oDh ke sone ko
kabhi KHwab likhe nahin jate
kabhi baaten suni nahin jatin
kabhi qisse kahe nahin jate
kuza-garon ki basti mein baDe qisse hain aur KHak nahin
mere panw ke niche KHak nahin
aur mah-e-zawal dar aaya
band makan ke rauzan-e-dar se
aage sat dulhan ki qabr hai
niche kuza-garon ki basti hai
kuza-garon ki basti mein
mere panw ke niche KHak nahin kisi aur ki panw ki miTTi hai
Nazm
Mere panw ke niche KHak nahin
Mohammad Anvar Khalid