kai manzar badalte hain
khuli aankhon ke shishe par sulagti KHak ka chehra
charaghon ka dhuan,
khiDki,
koi rauzan
hawa ke nam karne ko hamare pas kya baqi, bacha hai?
lahu ke par lagi saDken
kaTe sar par barasti jutiyon ke shor mein jaga hua
be-KHanuman nam-o-nasab,
matam-kunan girya-kunan aankhen,
shikasta-ru sahar ki siskiyan
jaise
masihaon ke ujle pairahan par zaKHm bharne ki
riwayat naqsh hoti hai
hamare pas kya baqi bacha hai?
tilism-awar shuuri qahqahe
kirnen!
dur-e-mahtab se nikli hui kuchh mustarad kirnen
ridaen!
jin ke konon se bandhe sikke
mera tawan Thahre hain
lahu tawan mein de kar
main KHali hath aaya hun
mere logo!
bhanwar ki rah se bach kar main KHali hath aaya hun
mujhe kis ne bulaya tha!
kisi ummid se mansub raste ne
jahan shaKH-e-samar ab tak shajar ki kokh se bahar nahin nikli
jahan
jiwan ki lambi aastin sans leta hai
meri aahon ka sannaTa!!
Nazm
Mere logo! main Khaali hath aaya hun
Zahid Masood