mere liye kaun sochta hai
juda juda hain mere qabile ke log sare
juda juda sab ki suraten hain
sabhi ko apni ana ke andhe kuen ki tah mein paDe hue
KHwahishon ke pinjar
hawas ke TukDe
hawas reze
hiras kankar talashna hain
sabhi ko apne badan ki shah-e-rag mein
qatra qatra lahu ka lawa unDelna hai
sabhi ko guzre dinon ke dariya ka dukh
wirasat mein jhelna hai
mere liye kaun sochta hai
sabhi ki apni zaruraten hain
meri ragen chhilti jarahat ko kaun baKHshe
shifa ki shabnam
meri udasi ko kaun bahlae
kisi ko fursat hai mujh se puchhe
ki meri aankhen gulab kyun hain
meri mashaqqat ki shaKH-e-uriyan par
sazishon ke azab kyun hain
meri hatheli pe KHwab kyun hain
mere safar mein sarab kyun hain
mere liye kaun sochta hai
sabhi ke dil mein kuduraten hain
Nazm
Mere liye kaun sochta hai
Mohsin Naqvi