mere sarkash tarane sun ke duniya ye samajhti hai
ki shayad mere dil ko ishq ke naghmon se nafrat hai
mujhe hangama-e-jang-o-jadal mein kaif milta hai
meri fitrat ko KHun-rezi ke afsane se raghbat hai
meri duniya mein kuchh waqat nahin hai raqs o naghma ki
mera mahbub naghma shor-e-ahang-e-baghawat hai
magar ai kash dekhen wo meri pur-soz raaton ko
main jab taron pe nazren gaD kar aansu bahata hun
tasawwur ban ke bhuli wardaten yaad aati hain
to soz-o-dard ki shiddat se pahron tilmilata hun
koi KHwabon mein KHwabida umangon ko jagati hai
to apni zindagi ko maut ke pahlu mein pata hun
main shaer hun mujhe fitrat ke nazzaron se ulfat hai
mera dil dushman-e-naghma-sarai ho nahin sakta
mujhe insaniyat ka dard bhi baKHsha hai qudarat ne
mera maqsad faqat shoala-nawai ho nahin sakta
jawan hun main jawani laghzishon ka ek tufan hai
meri baaton mein rang-e-parsai ho nahin sakta
meri sarkash taranon ki haqiqat hai to itni hai
ki jab main dekhta hun bhuk ke mare kisanon ko
gharibon muflison ko be-kason ko be-sahaaron ko
sisakti nazninon ko taDapte nau-jawanon ko
hukumat ke tashaddud ko imarat ke takabbur ko
kisi ke chithaDon ko aur shahanshahi KHazanon ko
to dil tab-e-nashat-e-bazm-e-ishrat la nahin sakta
main chahun bhi to KHwab-awar tarane ga nahin sakta
Nazm
Mere git
Sahir Ludhianvi