mere dil ke TuTe sitare ko tum ne
nigahon se sham-e-farozan banaya
dariche mein khilti hui ek kali ko
labon ne chhua aur gulistan banaya
rag-o-pai mein gul-rang sail-e-rawan ko
do-alam se yaksar gurezan banaya
azal se bhaTakti hui aarzu ko
tamanna-e-shahr-e-dil-o-jaan banaya
mohabbat ke bikhre hue KHar-o-KHas se
jahan mein bas ek dasht-e-imkan banaya
KHuda ka na hona bhi mumkin hai lekin
jo maujud hai us ko imkan banaya
Nazm
Mere dil ke TuTe sitare ko tumne
Zeeshan Sahil