wo sitare jin ki KHatir kai be-qarar sadiyan
meri tira-baKHt duniya mein sitara-war jagin
kabhi rifaton pe lapkin kabhi wusaton se uljhin
kabhi sogwar soen kabhi naghma-bar jagin
wo buland-baam tare wo falak-maqam tare
wo nishan de ke apna rahe be-nishan hamesha
wo hasin wo nur-zade wo KHala ke shahzade
jo hamari qismaton par rahe hukmaran hamesha
jinhen muzmahil dilon ne abadi panah jaana
thake-haare qafilon ne jinhen KHizr-e-rah jaana
jinhen kam-sinon ne chaha ki lapak ke pyar kar len
jinhen mahwashon ne manga ki gale ka haar kar len
jinhen aashiqon ne chaha ki falak se toD laen
kisi rah mein bichhaen kisi sej par sajaen
jinhen but-garon ne chaha ki sanam bana ke pujen
ye jo dur ke hasin hain unhen pas la ke pujen
jinhen mutribon ne chaha ki sadaon mein piro len
jinhen shairon ne chaha ki KHayal mein samo len
ho hazar koshishon par bhi shumar mein na aae
kabhi KHak-e-be-bizaat ke dayar mein na aae
jo hamari dastaras se rahe dur dur ab tak
hamein dekhte rahe hain jo ba-sad ghurur ab tak
mere ahd ke hasino wo nazar-nawaz tare
mera daur-e-ishq-parwar tumhein nazr de raha hai
wo junun jo aab-o-atish ko asir kar chuka tha
wo KHala ki wusaton se bhi KHiraj le raha hai
mere sath rahne walo mere baad aane walo
mere daur ka ye tohfa tumhein sazgar aae
kabhi tum KHala se guzro kisi sim-tan ki KHatir
kabhi tum ko dil mein rakh kar koi gul-azar aae
Nazm
Mere ahd ke hasino
Sahir Ludhianvi