mera zehn dil ka rafiq hai
mera dil rafiq hai jism ka
mera jism hai meri aankh mein
meri aankh us ke badan mein hai
wo badan ki bosa-e-atishin mein jala bhi phir bhi hara raha
wo badan ki lams ki barishon mein dhula bhi phir bhi naya raha
wo badan ki wasl ke fasle pe raha bhi phir bhi mera raha
mujhe e'tiraf! mere wajud pe ek charagh ka ek KHwab ka ek umid ka qarz hai
mujhe e'tiraf! ki mere naKHun-e-be-hunar pe hazar tarah ke qarz hain
mera zehn mujh ko riha kare to main sare qarz utar dun
meri aankh mujh se wafa kare to main jism o jaan pe war dun
Nazm
Mera zehn mujhko raha kare
Iftikhar Arif