mera jazba-e-shauq kaam aa raha hai
ki bazar mein dekhun aam aa raha hai
gharib-o-amir us ke shaidai yaksan
pasandida-e-KHas-o-am aa raha hai
kisi muqtadi ko KHridun main kyunkar
ki jab KHud phalon ka imam aa raha hai
sab hathon ko phailaen aankhen bichhaen
phalon mein wo aali maqam aa raha hai
wo chausa saroli wo sindhDi wo fazli
wo aamon ka ek azhdaham aa raha hai
hai langDa pa langDate langDate dekho
wo mahbub-e-man KHush-KHiram aa raha hai
mujhe hai KHushi jo hain diwane us ke
'asar' un mein mera bhi nam aa raha hai
Nazm
Mera jazba-e-shauq kaam aa raha hai
Shaheen Iqbal Asar