mere ghar ki diwar par
ahd-e-rafta ke
rangin afsane saje hain
mere ajdad ki hijraten
apni yaadon ke
KHwabon ke
hamrah khaDi hain
magar main to us daur ka aaina hun
jahan KHwab bante hain kam
aur bikharte bahut hain
jahan log bas
ahd-e-rafta mein
jine ka gur jaante hain
main basi hun us ganw ka
jis ke rakhe
KHud apne gwalon ke
ghar luTte hain
jahan kheton mein
azabon ki faslen kaTi hain
main ab muD ke dekhun
Nazm
Miras
Qaisar Abbas