mujhe be-rahm hasti ke zayan-KHane mein kyun bheja gaya
kyun halqa-e-zanjir mein rakh di gain be-tabiyan meri
har ek manzar meri nazron ka juya tha
farozan shaKH-saron par hujum-e-rang-o-bu
uDta hua abr-e-rawan
simab-pa maujen
saba ka raqs be-parwa
shab-e-mahtab ka afsun
mah o anjum ke raqsan daere
ru-e-shafaq
taban ufuq
dariyaon ki raftar
shab ke jagte asrar
sahra ka munawwar sina-e-uriyan
tilism-e-be-karan ke KHwab-gun sae
meri raaton mein misl-e-barq lahrae
sitaron ki tajalli mein tha harf kin ka afsana
baDa fayyaz tha fitrat ka shana
kai sahra mere gam-e-tamanna ke shanasa the
wo harf o saut ki wadi
wo zauq-e-sher ka jada
wo irfan ke gurezan aastanon par jabin-sai
wo danish ki pazirai
wo maani ki ghaneri chhanw mein
zehn-e-rasa ka kashf wo
asrar ke parde ke pichhe
dil ki mahshar-KHez aawazen
wo gham-ha-e-nihani se firozan zauq-e-binai
wo daman ka har ek KHar-e-mughilan se ulajhna
tul o arz dasht o dariya par kar jaana
wo har zarre mein dharti ki sada sunna
wo har qatre ke aaine mein
nur hasan mutlaq ka larazna
dil nazar harf o hunar ka ek ho jaana
takallum justuju raftar o gham ka muddaa pana
koi isa-nafas deta tha nam-e-zist nazrana
larazta iltihab-e-agahi se tha meri nazron ka paimana
gurezan saaton ke karwan ko kis ne pakDa hai
nazar mahw-e-maal-e-dosh-o-farda hai
kai diwar o saqf o saeban ke munjamid chehre
kai unchi faslen rah mein hail
kai be-faiz kawish-ha-e-tanhai
kai be-mehriyan paikar be-mafhum par mail
kai tiron ne meri KHema-gah-e-shaq ko cheda
kai tarkash hue is jism par KHali hui jati hai razm-e-zindagani muzmahil ghail
nashat o dard ki wo KHosha-chini chhoD di hum ne
inan-e-husn-o-imkan toD di hum ne
sukut-e-sham hai
bujhne lage sare ayagh-e-garm-raftari
shikasta tar-e-hasti ki tarah larzan hain
gard o pesh ke sab tar-e-nazar
wo saat aan pahunchi hai
nigah-e-wapsin ke muntazir hain TuTte tare
mujhe shayad himala ki falak-paimaiyan aawaz deti hain
main apni maut se
in barf-zaron ki daraKHshinda mayyat mein milungi
toDungi halqa-e-zanjir-e-mahjuri
Nazm
Mi-yaumil-hisab
Sajida Zaidi