tumhein malum hai na
hamara sahn chhoTa hai aur us mein chand KHwab hi ba-mushkil pure utarte hain
itna khana jo ghar mein aae mehman par bhi pura ho
man ki dawaen waqt par aa jaen
bap ko aKHbar roz milta rahe
bachchon ko qadre-behtar school mein paDha saken
bahan ki shadi ho jae bhai bhi kisi qabil ho jae
main bahar ja kar tumhaare man bap ke liye bhi kuchh karunga
wapas jab aaunga tumhein kangan dilwa dunga
yahin kahin koi chhoTi si dukan bana lunga
so ye sab pura karne ko wo bahar des chala gaya hai
use rozgar mil gaya hai sab achchha chal raha hai
lekin kuchh KHwahishen hain na-tamam KHwahishen
kabhi ikaTThe icecream khana
us ke kandhe par sar rakh kar so jaana
kabhi muskurana kabhi ro dena
kisi sham halki phuwar mein yunhi us ke sang bahar nikal jaana
chhe sal ho gae hain
wo dur des mein hai aur main tanha
KHwahishen hasrat ka rup dhaar chuki hain
magar mere ghar ka aangan bahut chhoTa hai
meri hasraton ki jagah nahin hai us mein
so main bahut KHush hun muskuraati rahti hun
shukr hai sab achchha chal raha hai
wo dur des gaya hai
Nazm
Middle-class
Zehra Alvi