safed-poshi ki oT mein be-shumar aahen chhupi hui hain
qarin-e-jaan hai
wahi subuk-sar-e-zindagi ka KHayal aur bas
wo pur-sukun din
wo jhilmilata jahan ki jis mein
hum apne hisse ki zindagi kash walihana guzar pate
ye chhoTi chhoTi si KHwahishen thin
kisi baDe shahr ki kai manzila imarat se gir paDin hain
phir un ka malba sameT kar hum
bataur indhan najis mashinon mein jhok aae
wo KHwahishen ab dhuan dhuan hain
dhuan jo dil se nikal raha hai
dhuan jo dil mein utar raha hai
jo roz-o-shab ka hisar ban kar
aziyyaton ke muhib sae mein Dhal raha hai
magar ye sae zamane-bhar ki tamazaton ke muqable mein
kisi bhi neamat se kam nahin hain
lihaza un par bhi ab usul talab rasad ka nafaz hoga
hisab-o-dftar ye mez kursi ke baad malum ho sakega
ki apni gum-gashta hasraton ke sahab mein se
hamare hisse mein kya bacha hai
hamari qismat mein likha hai
bisat-e-nau ke hamin khilaDi hami khilaune
hamein tamasha lagane wale
hamein fasana banane wale
magar hamara na tazkira hai kahaniyon mein
kisi tamashe mein koi kirdar tak nahin hai
fana ke naghme rijaiyat ke suron mein gana
hamein sikhaya hai zindagi ne
yahi bataya hai zindagi ne
hamare gham ka nisab tai hai
hamari manzil bhi tai-shuda hai
ki us se aage guzar hamara
agar hua bhi to wajibi sa
wo KHwab sare jo hum ne dekhe
sarab nikle azab nikle
ye zindagi bhi ajib shai hai
ki us ko pane mein kho diya hai usi ko hum ne
Nazm
Middle-class
Salman Sarwat