meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum
jahan pahunch gaya hun main wahan na aa sakoge tum
tumhaare jism o jaan dil o nazar mein hun
tumhaare sath sath zindagi ke
har safar mein hun
tum apne aap se abhi nahin ho ru-shanas
taki dekhte mujhe KHud apne aap mein kabhi
magar tum apne aap ko na dekh paoge abhi
abhi na apne aap se nazar mila sakoge tum
meri talash mat karo
na mujh ko pa sakoge tum
jahan pahunch gaya hun main
wahan na aa sakoge tum
raushni ke sehr-kar daere
bana raha hun zarra-e-haqir se
jo sakinan-e-arsh ko muhit mein liye hue
zamin ki samt hain rawan
raushni mein gum hun main
raushni meri numud
nazara-e-tajalli-e-hayat hun
tab kis nazar mein hai
tajalli-e-hayat ki na tab la sakoge tum
meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum
baid-az-qayas
ma-wara-e-fikr-o-agahi
tamam kaenat ki hadon se par zindagi
danish o KHirad ki be-shumar manzilen
be-shumar manzilen milin
faza-e-be-zaman o be-makan ki justuju mein gum
tayyun aur maqam ka asir
mein kabhi na tha kabhi nahin
agar tayyunat se pare na ja sakoge tum
meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum
meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum
shabih-e-rang-rup
in quyud se bari hun main
KHayal-e-zat aur tasawwur-e-wajud se buland hun
batao in bulandiyon tak aaj aa sakoge tum
KHud apne aap se kabhi nazar mila sakoge tum
meri talash mat karo mujhe na pa sakoge tum
Nazm
Meri talash mat karo
Niyaz Haidar