اردو हिंदी
Meri tariKH ka lunDa bazar | Shaahi Shayari
meri tariKH ka lunDa bazar

Nazm

Meri tariKH ka lunDa bazar

Sarmad Sahbai

;

sari dukanen ek ek kar ke ghum aaya hun
lekin ab tak nanga hun

sare surma shayad mere qad se bahut baDe the
un ke kapDe mere jism pe jaane kaise fiT aaenge

aisi aisi haibatnak zira-baktar mein chhup kar
main shayad gum ho jaun

is tariKH ke milon phaile bazaron mein
mere nap ka koi coat nahin hai

shayad mere qad ka koi surma mara nahin hai