اردو हिंदी
Meri shairi | Shaahi Shayari
meri shairi

Nazm

Meri shairi

Akhtar Payami

;

zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
jaeza leta hun har moD pe shair ka dimagh

har badalte hue manzar pe nazar rakhta hun
aur tarik si raaton mein jalata hun charagh

zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
jhilmilate hue aanchal mein sukun DhunD chuka

ek tabassum ke liye ek ishaare ke liye
apne jazbaat mein andaz-e-junun DhunD chuka

zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
parda-e-saz mein ek git chhupaya tha kabhi

apne ehsas ki parwaz baDhane ke liye
yaad hai madh-bhari aankhon ko rulaya tha kabhi

zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
ye jhapakti hui palken hain ye lab ye ruKHsar

ye to zulfen nahin sawan ki ghaTaen hongi
han yahi to hain KHayalat ke rangin shahkar

zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
main ne ek bar hi chheDa tha mohabbat ka rabab

sans jalne lagi thi jism laraz uTTha tha
main ne pine ke liye sirf unDeli thi sharab

zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
husn ko rahguzar-e-am pe chalte dekha

ek hi samt inayat ke dhaare na rahe
main ne pani kai soton se ubalte dekha

zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
main ne ghuTte hue kamre mein dhuan dekha hai

tang galiyon mein banawaT ki hansi bikti hai
dur ek taq pe miTTi ka diya jalta hai