meri shaeri hai nazaron ki duniya
ye naghma-sara joibaron ki duniya
ye hangama-zar aabshaaron ki duniya
falak-ashna kohsaron ki duniya
ye phulon ki basti bahaaron ki duniya
yahi hai mere shah-karon ki duniya
meri shaeri hai nazaron ki duniya
meri shaeri chand taron ki duniya
ye rangin gharaunda tilism-e-zamana
khilaunon ka hai ek baDa karKHana
hawa bandhna aur ghubare banana
ghubare bana kar faza mein uDana
mere sher ka shoabada hai purana
meri shaeri chand taron ki duniya
meri shaeri baKHt-yaron ki duniya
falak shamiyana hai parbat qanaten
isi oT mein dida-o-dil ki ghaten
hujum-e-tamanna KHushi ki baraaten
jawani ke din kaamrani ki raaten
mere sher ki ye bhi hain wardaten
meri shaeri baKHt-yaron ki duniya
meri shaeri KHar-zaron ki duniya
tahi-dasti o pasti o KHasta-haali
bagulon se mamur phulon se KHali
wo besha ki hai mazra-e-KHushk-sali
jahan abr bhula hai dariya-nawali
na bhuli use bhi meri fikr-e-ali
meri shaeri KHarzaron ki duniya
meri shaeri shahsawaron ki duniya
bahadur jari surma aur jiyale
qaza jin ki Dhaalen qadar jin ke bhaale
tahawwur ke ghoDon ki bagen sambhaale
chale hain su-e-razm-gah azm wale
mere sher hain ghaziyon ke risale
meri shaeri shahsawaron ki duniya
meri shaeri dil-figaron ki duniya
ye fariyaad-e-KHamosh nichi nigahen
ye arman ki masdud hain jin ki rahen
fareb-e-wafa se kahan tak nibahen
mere dida-o-dil hain in ki panahen
mere sher aansu mere sher aahen
meri shaeri dil-figaron ki duniya
meri shaeri be-qararon ki duniya
wo zarra ki rah-e-sukun mein muKHil hai
wo qatra ki sad-atish-e-mushtail hai
wo dida ki bedari-e-mustaqil hai
wo dil jis se dil garmi-e-ab-o-gil hai
mere sher mein bhi wahi ek dil hai
meri shaeri be-qararon ki duniya
meri shaeri KHaksaron ki duniya
basera KHas-o-KHar-o-KHashak par hai
magar hath har KHosha-e-tak par hai
agarche sar-e-be-KHudi KHak par hai
dimagh-e-KHudi auj-e-aflak par hai
mere sher ki aankh idrak par hai
meri shaeri KHaksaron ki duniya
meri shaeri baada-KHwaron ki duniya
chale jam-e-jam bhi jame bazm-e-mai bhi
magar saqiya dekh ek aur shai bhi
ye fariyaad meri ki hai jis mein lai bhi
ye nala mera jo hai paband-e-nai bhi
mera sher shisha bhi nashsha bhi mai bhi
meri shaeri baada-KHwaron ki duniya
meri shaeri dost-daron ki duniya
ye duniya jahan se alag ek jahan hai
ye dil-nawazi ka sikka rawan hai
yahan aasman hai magar mehrban hai
na jaane adawat ki duniya kahan hai
mera sher iKHlas ka tarjuman hai
mari shaeri dost-daron ki duniya
meri shaeri ghamgusaron ki duniya
falak mahr-parwar zamin mah-jabin hai
na wo sard-mehr aur na ye garm-kin hai
falak bhi hasin hai zamin bhi hasin hai
wo nur-afrin ye zuhur-afrin hai
mere aaine mein kudurat nahin hai
meri shaeri ghamgusaron ki duniya
meri shaeri mere pyaron ki duniya
wo pyare ki su-e-adam ja chuke hain
wo kaliyan wo ghunche jo murjha chuke hain
tarane jo aaram farma chuke hain
KHazane jinhen log dafna chuke hain
mere sher mein zindagi pa chuke hain
meri shaeri mere pyaron ki duniya
meri shaeri intizaron ki duniya
kabhi main bhi ho jaun aazad shayad
asiri ki ghaT jae miad shayad
suni jae ek roz fariyaad shayad
wo bhule se kar le mujhe yaad shayad
wahan kaam aae ye rudad shayad
meri shaeri intizaron ki duniya
meri shaeri hai ishaaron ki duniya
falak par hain gardish mein chand aur tare
zamin par bahaar-o-KHizan ke nazare
barabar chale ja rahe hain bichaare
ki zauq-e-nazar de raha hai sahaare
magar kaun samjhe ye nazuk ishaare
meri shaeri hai ishaaron ki duniya
Nazm
Meri shaeri
Hafeez Jalandhari