meri ek buri aadat thi
tu meri aadat ke hathon kaisi zich aur kitni diq thi
jab hairat ki ungli thame tere sath chala karta tha
ek shirin muskan ki belen mere tan buTe ke upar istehqaq se chaDhti thin
aur ek lams ka gata pani nas nas dip jalata tha
lams ke jugnu aur muskan ki titli mere khilaune the
in donon ki duri sahna jine jaisa mushkil tha
in ko pallu mein bandhe tu jab bhi dur kahin jati thi
main wiswas ki Dor se lipTa pichhe pichhe aa jata tha
sab logon se, har raste se tera pata puchha karta tha
ab hairat ki ungli thame tu ek aise des gai hai
jis ke sab bazar aur galiyan, sare ghar aur sab chaubare
gahri dhund mein sar-basta hain, guzre kal se paiwasta hain
main is dhund ke chaurahe par nam aaankhon ko ponchh raha hun
rote rote soch raha hun
kis ko rokun kis se puchhun kya meri man ko dekha hai?
is raste se ho ke gai thi
apni ek buri aadat se kaisa zich aur kitna diq hun
Nazm
Meri ek buri aadat thi
Bilal Ahmad