KHushi ki haalat mein
ya aansu bahate hue
KHamoshi ke sath
meri chiDiyan hamesha mar jati hain
jab un se wada kiya jata hai
ki unhen sair karane ke liye
shahr se bahar le jaya jaega
rang-birangi titliyon wale pinjre mein
ek sath baiThte hue
meri chiDiyan hamesha mar jati hain
jab un se kaha jata hai
unhen ek ghair-abaad jazire mein le ja kar
aazad chhoD diya jaega
reshmi Dori se apne paron ko bandhwate hue
meri chiDiyan hamesha mar jati hain
jab unhen bataya jata hai
agar wo chahen to chand ko chhu sakti hain
kabhi na kabhi
apne TuTe hue paron ke sath
chand ki taraf jate hue
meri chiDiyan hamesha mar jati hain
Nazm
Meri chiDiyan hamesha mar jati hain
Zeeshan Sahil