mere pas
bahut si baaten hain
jo main ne zindagi se kashid kin
chahe achchhi ho ya buri
baat sunane ke liye hoti hai
aur main ne aisa nahin kiya
baat
zindagi ki amanat hai
jise lauTana paDta hai
main baaton ko paTTe bandh kar
jama karta raha
baaton ka baDa
wasia hota chala gaya
aur mera surur bhi
ek rose
ek baat mujh par bhaunkti hai
mera KHumar TuTta hai
main
chaunk kar dekhta hun
ek ke baad dusri
aur dusri ke baad tisri
wo sab
mujh par bhaunkne lagti hain
main
unhen chumkarta hun
magar be-sud
shor se mera dimagh bhar jata hai
mujhe
kuchh bhi nahin sujhta
aur main bhi
bhaunkna shurua kar deta hun
Nazm
Mere pas bahut si baaten hain
mustafa arbab