ye ganw ka manzar sannaTa aur sham ki dhundli tariki
ek sham bahut rangin magar muflis ki nigahon mein phiki
dharti pe ye pani sone ka aakash pe nahren chandi ki
ye chand ye tare ye dariya mere liye kya hai kuchh bhi nahin
ye shahr ki chalti saDkon par har samt dukanen nurani
bijli mein bhi jalta ho jaise iflas ke patte ka pani
chizon ki girani mein shamil ghurbat ke lahu ki arzani
ye saz ye saman-e-ishrat mere liye kya hai kuchh bhi nahin
raaton ke andhere mein jagmag jagmag ye faza mai-KHwanon ki
mezon pe nazare masti ke bahki hui lai diwanon ki
botal ki nawa-e-kulkul mein halki si KHunuk paimanon ki
ye shisha ye saqi ye sahba mere liye kya hai kuchh bhi nahin
saDkon pe hasinon ka tanta jadu ka para chalta phirta
saDi ki lapeTun se jin ki chhilke hai jawani ki sahba
masti ke qadam sambhle sambhle aanchal ka sira Dhalka Dhalka
ye husn-o-jawani rang-o-ada mere liye kya hai kuchh bhi nahin
aankhon pe meri ehsas hai kya sabzon pe agar hai barnai
kyun puchhne jaun kyari mein phulon ka mizaj-e-ranai
kya kaam hai mujh ko gulshan se kaliyan ho khili ya murjhai
ye phul ye shabnam sher-o-faza mere liye kya hai kuchh bhi nahin
collage ki ye tamir-e-KHandan mamnun ghamon lam nahin
is mein kisi muflis ke ghar ke ghamgin pisar ka nam nahin
saman-e-tijarat hai ye bhi saman-e-mafad-e-am nahin
ye ilm ye hikmat hosh-ruba mere liye kya hai kuchh bhi nahin
be-jaan ho jab naqsh-e-hasti taswir-e-tamanna kya bole
taraj ke KHuni panje mein tahzib ki mina kya bole
chilon ke najasat khane mein bechaara papiha kya bole
ye naghma ye sher-o-saz-o-nawa mere liye kya hai kuchh bhi nahin
Nazm
Mere liye kya hai kuchh bhi nahin
Nushur Wahidi